rah-e-talab mein hamein gham pe gham nazar aae
ba-qadr-e-zauq magar phir bhi kam nazar aae
wahin wahin mera zauq-e-sujud machla hai
jahan jahan tere naqsh-e-qadam nazar aae
mere shuur ki aankhon mein aa gae aansu
mujhe asir-e-alam jab sanam nazar aae
teri talash mein ye bhi maqam aaya hai
jidhar nigah uThi sirf hum nazar aae
wo jalwa-bar hain dil ke nigar-KHane mein
jo meri chashm-e-tamasha ko kam nazar aae

Ghazal
Rah-e-talab mein hamein gham pe gham nazar aae
Parkash Nath Parvez