rah-e-KHulus mein behtar hai sar jhuka rakhna
wo sar-kashida agar hai to sar siwa rakhna
yahi wo soch hai jis ki talash thi mujh ko
ye baat apne KHayalon se ab juda rakhna
na qurb-e-zat hi hasil na zaKHm-e-ruswai
ajib lagta hai ab KHud se rabta rakhna
tamam shahr ko aatish-kada banana hai
dilon ki aag saliqe se ja-ba-ja rakhna
baDa ajib hai tahzib-e-irteqa ke liye
tamam umr kisi ek ko ham-nawa rakhna
kamal-e-hirs hai jazb-o-talab ki duniya mein
badan ko ruh ki aawaz se juda rakhna
buland kar ke zara hauslon ki diwaren
diya jala ke hawa ko charagh-pa rakhna
shikast-o-reKHt ki duniya mein zinda rahne ki
bikhar bikhar ke simaTne ka hausla rakhna
KHud apni zat pe tanqid ke muradif hai
kisi ke samne danista aaina rakhna
jise mili hai ye daulat wahi samajhta hai
ajib nemat-e-uzma hai dil dukha rakhna
ho jab bhi jaana kisi ke nigar-KHane mein
'nazar' KHayal zara KHadd-o-KHal ka rakhna
Ghazal
Rah-e-KHulus mein behtar hai sar jhuka rakhna
Jamil Nazar