rah-e-kahkashan se guzar gaya hama-in-o-an se guzar gaya
koi bazm-e-naz-o-niyaz mein main had-o-kaman se guzar gaya
na koi jahan se guzar sake ye wahan wahan se guzar gaya
tere ishq mein dil-e-mubtala har ek imtihan se guzar gaya
tere ishq-e-sina-figar ka ye shuur qabil-e-dad hai
wahi tir dil se laga liya jo teri kaman se guzar gaya
tere husn-e-sajda-nawaz ka ye karam jabin-e-niyaz par
ki mile haram hi haram mujhe main jahan jahan se guzar gaya
mere naseha tera shukriya mere haal par mujhe chhoD de
jo teri zamin par muhit hai main us aasman se guzar gaya
ye nizam bazm-e-hayat ka abhi KHalfashaar ki nazr tha
wo to shukr hai ki fasana-KHwan meri dastan se guzar gaya
rahe qaid-o-band ki lazzaten ki aziyyaten bhi hain rahaten
main qafas mein aate hi sarhad-e-gham-e-ashiyan se guzar gaya
na 'waqar' dair se wasta na haram se mujh ko koi gharaz
kisi be-nishan ki talash mein main har ek nishan se guzar gaya
Ghazal
Rah-e-kahkashan se guzar gaya hama-in-o-an se guzar gaya
Waqar Bijnori