rah-e-junun mein gham-e-zindagi ko mar diya
ye nashsha talKH tha hum ne magar utar diya
ab intizar ki shab jaane kis nagar mein kaTe
ye din to hum ne tere shahr mein guzar diya
na us ne aap hi socha fughan-e-dil ka ilaj
na mujh ko ashk bahane ka iKHtiyar diya
ek aur sal ka gham dil pe ashk ban ke gira
ek aur sal tere hijr mein guzar diya
dayar-e-jaan mein koi aur sanp hai to bata
jo aastin mein tha pinhan wo hum ne mar diya
koi fasil hi TuTi na koi qufl khula
na jaane soch ke kya dil ko eqtidar diya

Ghazal
Rah-e-junun mein gham-e-zindagi ko mar diya
Naseem Sailpuri