اردو हिंदी
Rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi | Shaahi Shayari
rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi

Ghazal

Rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi

Ganesh Bihari Tarz

;

rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi
kabhi nazr-e-KHak-e-safar rahi kabhi motiyon se bhari rahi

teri ek nigah se saqiya wo bahaar-e-be-KHabari rahi
gul-e-tar wahi gul-e-tar raha wahi Dal Dal hari rahi

teri be-ruKHi ki nigah thi ki jo har KHata se bari rahi
meri aarzu ki sharab thi ki jo jam jam bhari rahi

dam-e-marg bhi meri hasraten had-e-arzu se na baDh sakin
usi kale dew ki qaid mein mere bachpane ki pari rahi

dil-e-gham-zada pe guzar gaya hai wo hadsa ki mere liye
na to gham raha na KHushi rahi na junun raha na pari rahi

wahi 'tarz' tujh pe rahim hai ye usi ka faiz-e-karim hai
ki asatiza ke bhi rang mein jo ghazal kahi wo khari rahi