rah-e-hayat mein jo log jawedan nikle
wahi wafa-o-mohabbat ke tarjuman nikle
ajib sehr ka aalam tha us ki mahfil mein
zaban pe naz tha jin ko wo be zaban nikle
wahan wahan pe wafa-dariyon ka zor baDha
tumhaare chahne wale jahan jahan nikle
safar ki hasraten niklin bahut meri yarab
magar jo dil mein the arman wo kahan nikle
aziz yun to bahut hain aziz kya kahiye
kai aziz magar mujh se bad-guman nikle
yaqin bahut tha mohabbat pe tum ko apni 'adil'
yaqin ke badle wahan bhi faqat guman nikle
Ghazal
Rah-e-hayat mein jo log jawedan nikle
Adeel Zaidi