اردو हिंदी
Ragon mein zahr ka nashtar chubho diya maine | Shaahi Shayari
ragon mein zahr ka nashtar chubho diya maine

Ghazal

Ragon mein zahr ka nashtar chubho diya maine

Khurshid Sahar

;

ragon mein zahr ka nashtar chubho diya main ne
na ras aaya jo hansna to ro diya main ne

kahin pe koi mera aks hi nahin milta
kis intishaar mein KHud ko Dubo diya main ne

tum apne KHwab ki aankhon pe hath rakh lena
mata-e-jaan ki tamanna to kho diya main ne

wo roz meri ana ko zalil karta tha
use bhi apne lahu mein Dubo diya main ne

tumhaare nam jo dil ke waraq pe raushan tha
wo ek harf-e-aqidat bhi dho diya main ne