ragon mein zahr-e-KHamoshi utarne se zara pahle
bahut taDpi koi aawaz marne se zara pahle
zara si baat hai kab yaad hogi in hawaon ko
main ek paikar tha zarron mein bikharne se zara pahle
main ashkon ki tarah is dard ko bhi zabt kar leta
mujhe aagah to karta ubharne se zara pahle
koi suraj se ye puchhe ki kya mahsus hota hai
bulandi se nashebon mein utarne se zara pahle
kahin taswir ruswa kar na de mere tasawwur ko
musawwir soch mein hai rang bharne se zara pahle
suna hai waqt kuchh KHush-rang lamhe le ke guzra hai
mujhe bhi 'shad' kar jata guzarne se zara pahle
Ghazal
Ragon mein zahr-e-KHamoshi utarne se zara pahle
Khushbir Singh Shaad