ragon mein aaj bhi ye KHun sa rawan hai kya
wo dard-e-ishq haqiqat mein jawedan hai kya
parind kis liye karte hain aashiyan se kuch
unhen bhi hajat-e-yak-gosha-e-aman hai kya
ye hum jo chhute hain har roz chand taron ko
hamare panw tale koi aasman hai kya
hawa mein khel raha hai jo abr ki surat
kisi makan se uDta hua dhuan hai kya
Ghazal
Ragon mein raat se ye KHun sa rawan hai kya
Shahram Sarmadi

