rag-o-pai mein sarayat kar gaya wo
mujhi ko mujh se ruKHsat kar gaya wo
na Thahra koi mausam wasl-e-jaan ka
mutayyan rah furqat kar gaya wo
man o tu ki giri diwar sar par
bayan kaisi haqiqat kar gaya wo
darun-e-KHana se ghafil hai lekin
barun-e-KHana zinat kar gaya wo
sar-e-shab hi mein aksar jal bujha hun
har ek KHwahish ko lat-pat kar gaya wo
hawadis ka wo tund o shoKH jhonka
samar dil ka akarat kar gaya wo
mata-e-gham chhupa kar kyun na rakkhun
hawale ye amanat kar gaya wo
tumhein bhi bhulne ki koshishen kin
ki KHud par bhi qayamat kar gaya wo
sukun-amez lamhon mein 'farid' ab
farogh-e-ranj-o-mehnat kar gaya wo
Ghazal
Rag-o-pai mein sarayat kar gaya wo
Fareed Parbati