rag-e-jaan mein sama jati ho jaanan
tum itna yaad kyun aati ho jaanan
tumhaare sae hai pahlu mein ab tak
ki ja kar bhi kahan jati ho jaanan
meri ninden uDa rakkhi hain tum ne
ye kaise KHwab dikhlati ho jaanan
kisi din dekhna mar jaunga main
meri qasmen bahut khati ho jaanan
wo sunta hun main apni dhaDkanon se
tum aankhon se jo kah jati ho jaanan
paraya-pan nahin apnaiyat hai
jo yun aankhen chura jati ho jaanan
Ghazal
Rag-e-jaan mein sama jati ho jaanan
Subhan Asad