اردو हिंदी
Rag-e-ehsas mein nashtar TuTa | Shaahi Shayari
rag-e-ehsas mein nashtar TuTa

Ghazal

Rag-e-ehsas mein nashtar TuTa

Zia Fatehabadi

;

rag-e-ehsas mein nashtar TuTa
hath se chhuT ke saghar TuTa

TuTna tha dil-e-nazuk ko na puchh
kab kahan kis liye kyun-kar TuTa

sina dharti ka laraz uTTha hai
aasman se koi aKHtar TuTa

jhuk gaya pa-e-butan par lekin
pattharon se na mera sar TuTa

saKHt-jaani meri tauba tauba
qatl karte the ki KHanjar TuTa

ashk palkon se gira yun jaise
KHushk Tahni se gul-e-tar TuTa

ai 'ziya' ho ke riha zindan se
uDne paya bhi na tha par TuTa