raftagan mein jahan ke hum bhi hain
sath us karwan ke hum bhi hain
shama hi sar na de gai barbaad
kushta apni zaban ke hum bhi hain
hum ko majnun ko ishq mein mat bujh
nang us KHandan ke hum bhi hain
jis chaman-zar ka hai tu gul-e-tar
bulbul is gulsitan ke hum bhi hain
nahin majnun se dil qawi lekin
yar us na-tawan ke hum bhi hain
bosa mat de kisu ke dar pe nasim
KHak us aastan ke hum bhi hain
go shab us dar se dur pahron phiren
pas to pasban ke hum bhi hain
wajh-e-beganagi nahin malum
tum jahan ke ho wan ke hum bhi hain
mar gae mar gae nahin to nahin
KHak se munh ko Dhanke hum bhi hain
apna shewa nahin kaji yun to
yar ji TeDhe banke hum bhi hain
is sire ki hai parsai 'mir'
mo'taqid us jawan ke hum bhi hain
Ghazal
Raftagan mein jahan ke hum bhi hain
Mir Taqi Mir