اردو हिंदी
Rafta rafta rang bikharte jate hain | Shaahi Shayari
rafta rafta rang bikharte jate hain

Ghazal

Rafta rafta rang bikharte jate hain

Manish Shukla

;

rafta rafta rang bikharte jate hain
taswiron ke dagh ubharte jate hain

waqt ki sazish gahri hoti jati hai
diwaron ke rang utarte jate hain

ban kar phir aaseb bhaTakne lagte hain
dil ke wo ehsas jo marte jate hain

yaadon mein ek Tis bani hi rahti hai
dhire dhire zaKHm to bharte jate hain

aaKHir tak insan akela rahta hai
yun hi mah-o-sal guzarte jate hain

aab-o-dana aur nasheman ke sapne
panchhi ki parwaz katarte jate hain

zaKHmon mein har roz izafa hota hai
ghazlon ke mafhum sanwarte jate hain