rafta rafta manzar-e-shab tab bhi aa jaenge
nind to aa jae pahle KHwab bhi aa jaenge
kya pata tha KHun ke aansu rula denge mujhe
is kahani mein kuchh aise bab bhi aa jaenge
KHushk aankhon ne to shayad ye kabhi socha na tha
ek din sahraon mein sailab bhi aa jaenge
hausle yun hi agar baDhte gae to dekhna
sahilon tak ek din girdab bhi aa jaenge
bas zara milne to do meri tabahi ki KHabar
dil dukhane ke liye ahbab bhi aa jaenge
aap ki bazm-e-mohazzab mein naya hun 'shad' main
aate aate bazm ke aadab bhi aa jaenge
Ghazal
Rafta rafta manzar-e-shab tab bhi aa jaenge
Khushbir Singh Shaad