اردو हिंदी
Rafta rafta aarzuon ka ziyan hone ko hai | Shaahi Shayari
rafta rafta aarzuon ka ziyan hone ko hai

Ghazal

Rafta rafta aarzuon ka ziyan hone ko hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

;

rafta rafta aarzuon ka ziyan hone ko hai
darhami kuchh aisi zer-e-asman hone ko hai

pa-shikasta ho gae hain hum kaDakti dhup mein
sham-e-gham ab dekhiye kab aur kahan hone ko hai

be-ruKHi gar aap ki ai jaan-e-jaan yun hi rahi
aaKHirash kar-e-wafa dil par garan hone ko hai

Dar hai dil aasuda-e-hirman na ho jae kahin
aag thi raushan jahan wo KHak-dan hone ko hai

chashmak-e-barq-o-sharar se raat aankhon mein kaTi
sun rahe hain subh-e-nau ab zarfishan hone ko hai

kal talak to chal rahi thi dil-jalon ki dastan
aaj un ka zikr zeb-e-dastan hone ko hai

is qadar hai hasrat-e-nakaam ka 'rahi' ghubar
naqsh-pa-e-arzu bhi be-nishan hone ko hai