raft o aamad bana raha hun main
rah-e-maqsad bana raha hun main
kaam mein la ke kuchh KHas-o-KHashak
apni masnad bana raha hun main
zindagi jurm to nahin lekin
ho ke sarzad bana raha hun main
yunhi bekar main paDa KHud ko
kar-amad bana raha hun main
goya apni hudud se baDh kar
apni sarhad bana raha hun main
kar raha hun hayat-e-nau tamir
apna marqad bana raha hun main
de raha hun jila shararon ko
KHud ko mubad bana raha hun main
mah ki aaj phir gahan ban kar
tab-e-aswad bana raha hun main
munharif ho ke us ki chahat se
KHud ko murtad bana raha hun main
wo ki ban pa nahin raha mujh se
jo ki shayad bana raha hun main
ug raha hun main aur sath apne
sar pe bargad bana raha hun main
Ghazal
Raft o aamad bana raha hun main
Khaavar Jilani