rache-base hue lamhon se jab hisab hua
gae dinon ki ruton ka ziyan sawab hua
guzar gaya to pas-e-mauj be-kanari thi
Thahar gaya to wo dariya mujhe sarab hua
supurdagi ke taqaze kahan kahan se paDhun
hunar ke bab mein paikar tera kitab hua
har aarzu meri aankhon ki raushni Thahri
charagh soch mein gum hain ye kya azab hua
kuchh ajnabi se lage aashna dariche bhi
kiran kiran jo ujalon ka ehtisab hua
wo yaKH-mizaj raha faslon ke rishton se
magar gale se lagaya to aab aab hua
wo peD jis ke tale ruh gungunati thi
usi ki chhanw se ab mujh ko ijtinab hua
in aandhiyon mein kise mohlat-e-qayam yahan
ki ek KHema-e-jaan tha so be-tanab hua
salib-e-sang ho ya pairahan ke rang 'nasir'
hamare nam se kya kya na intisab hua
Ghazal
Rache-base hue lamhon se jab hisab hua
Naseer Turabi