rabt ho ghair se agar kuchh hai
is taraf bhi magar nazar kuchh hai
be-KHabar hai wo har do aalam se
jis ko us shoKH ko KHabar kuchh hai
yan koi majra-sharik nahin
hai agar kuchh to chashm-e-tar kuchh hai
miT gaya qissa mar gaya aashiq
ho mubarak tumhein KHabar kuchh hai
justuju hai wahin wahin hai nazar
jalwa-rezi jidhar jidhar kuchh hai
hai tamasha ba-qadr-e-zauq-e-nigah
dekhta hun jidhar udhar kuchh hai
bad bala hai kisi kisi ki nazar
tum na jaana ki baam par kuchh hai
azm su-e-adam to hai 'raunaq'
tosha-e-rah bhi magar kuchh hai
Ghazal
Rabt ho ghair se agar kuchh hai
Raunaq Tonkvi