rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath
ji hai wabasta mera un ki har ek aan ke sath
apne hathon ke bhi main zor ka diwana hun
raat din kushti hi rahti hai gareban ke sath
jo jafa-ju hain unhen sang-dili lazim hai
kaam talwar ko rahta hai sada san ke sath
gar masiha-nafasi hai yahi mutrib to KHair
ji hi jate hain chale teri har ek tan ke sath
'dard' har-chand main zahir mein to hun mor-e-zaif
zor nisbat hai wale mujh ko 'suleman' ke sath
Ghazal
Rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath
Khwaja Meer u0027Dardu0027