rabt-e-pinhan ki sadaqat hai na milna tera
tere milne hi ki surat hai na milna tera
kyun mera shauq-e-farawan hai ba-har lamha fuzun
kya koi raaz-e-mashiyyat hai na milna tera
lala-o-gul mah-o-anjum se gila hai kya kya
aur maqsud-e-shikayat hai na milna tera
kisi surat kisi unwan se talafi na hui
kis qadar talKH haqiqat hai na milna tera
zindagi ne tere milne ka bahana samjha
warna dar-asl qayamat hai na milna tera
phir bhi tere liye aawara-e-ghurbat hai 'rawish'
garche shayan-e-mohabbat hai na milna tera
Ghazal
Rabt-e-pinhan ki sadaqat hai na milna tera
Ravish Siddiqi

