raaz ye sab ko batane ki zarurat kya hai
dil samajhta hai tere zikr mein lazzat kya hai
jis mein moti ki jagah hath mein miTTi aae
utni gahrai mein jaane ki zarurat kya hai
apne haalat pe mail-ba-karam wo bhi nahin
warna is gardish-e-dauran ki haqiqat kya hai
qabil-e-did hai aahista-KHirami un ki
aa dikhaun tujhe zahid ki qayamat kya hai
un ke daman pe jo girta to pata chal jata
ai meri aankh ke aansu teri qimat kya hai
ban ke aae hain KHaridar arab ke buDhe
hae muflis teri beTi ki bhi qismat kya hai
munh bhi dekha nahin main ne kabhi mai-KHane ka
tauba tauba mujhe tauba ki zarurat kya hai

Ghazal
Raaz ye sab ko batane ki zarurat kya hai
Raaz Allahabadi