raaz ubal paDe aaKHir aasman ke sinon se
rabt is zamin ko hai aur bhi zaminon se
kaun sa jahan hai ye kaise log hain is mein
uThta hai dhuan har dam dil ke aabginon se
har bashar hai fariyaadi har taraf andhera hai
mehr-o-mah nahin nikle shahr mein mahinon se
ek taraf zabanon par dosti ke nare hain
ek taraf Tapakta hai KHun aastinon se
muflison ki basti mein wusaten hain duniya ki
aap utar ke dekhen to apni shah-nashinon se
na-KHuda ki himmat ka imtihan leti hai
warna kad nahin kuchh bhi mauj ki safinon se
tajrabon ki duniya mein ahl-e-ilm-o-hikmat ko
rifaten milin 'farhat' fikr-o-fan ke zinon se
Ghazal
Raaz ubal paDe aaKHir aasman ke sinon se
Farhat Qadri