raaz mein rakkhenge hum teri qasam ai naseh
le nikal ab wahi ganje ki chilam ai naseh
ab KHuda ke liye rakh hum pe karam ai naseh
hain pareshan teri bakwas se hum ai naseh
jhurriyan ruKH ki jo paigham-e-qaza lai hain
kab talak jaoge tum su-e-adam ai naseh
baada-noshon ko na samjhane ki koshish karna
warna phir hoga tera nak mein dam ai naseh
baad muddat ke mila hai to chala-chal mere sath
mai-kada yan se hai bas chaar qadam ai naseh
puchh le biti hai kya rindon ke hathon in par
ye jo hain tere chacha shaiKH-e-haram ai naseh
kya hua KHair to hai kaisi musibat aai
kis ne mara tujhe kyun aankh hai nam ai naseh
bhul kar bhi kabhi munh un ke na lagna nadan
kuchh KHabar hai baDe beDhab hain niam ai naseh
tujh ko bhi ishq-e-butan ka maza kuchh ho malum
tere palle hon agar dam-o-diram ai naseh
tu hai kya sara jahan KHauf se kanp uThta hai
'shauq' uThate hain jo shamshir-e-qalam ai naseh

Ghazal
Raaz mein rakkhenge hum teri qasam ai naseh
Shauq Bahraichi