اردو हिंदी
Raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega | Shaahi Shayari
raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega

Ghazal

Raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega

Ibn e Insha

;

raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega
ji ka dagh ujagar ho kar suraj ko sharmaega

shahron ko viran karega apni aanch ki tezi se
viranon mein mast albele wahshi phul khilaega

han yahi shaKHs gudaz aur nazuk honTon par muskan liye
ai dil apne hath lagate patthar ka ban jaega

dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki
wo to dard ka bani Thahra wo kya dard baTaega

tera nur zuhur salamat ek din tujh par mah-e-tamam
chand-nagar ka rahne wala chand-nagar likh jaega