raaz ka bazm mein charcha kabhi hone na diya
hum ne apne ko tamasha kabhi hone na diya
hum ko is gardish-e-dauran ne kahin ka na rakha
phir bhi lahje ko shikasta kabhi hone na diya
mai-kade mein baDe kam-zarf the pine wale
aankh ko saghar o mina kabhi hone na diya
dil mein ek dard ka tufan chhupae rakkha
aankh se raaz ko ifsha kabhi hone na diya
roz jalna hai use roz jalana hai use
aatish-e-shauq ko ThanDa kabhi hone na diya
umr rishton ke taqaze hi nibhate guzri
zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya
sab se mahfuz maqam-e-gham-e-tanhai hai
fikr-e-duniya ne akela kabhi hone na diya
Ghazal
Raaz ka bazm mein charcha kabhi hone na diya
Tasneem Abidi