raaz-e-ishq izhaar ke qabil nahin
jurm ye iqrar ke qabil nahin
aankh par KHun shaq jigar dil daghdar
koi nazr-e-yar ke qabil nahin
did ke qabil hasin to hain bahut
har nazar didar ke qabil nahin
de rahe hain mai wo apne hath se
ab ye shai inkar ke qabil nahin
jaan dene ki ijazat dijiye
sar mera sarkar ke qabil nahin
chhoD bhi gulshan ko ai nargis kahin
ye hawa bimar ke qabil nahin
shaeri ko tab-e-rangin chahiye
har zamin gulzar ke qabil nahin
KHamushi meri ye kahti hai 'jalil'
dard-e-dil izhaar ke qabil nahin
Ghazal
Raaz-e-ishq izhaar ke qabil nahin
Jaleel Manikpuri