اردو हिंदी
Raaz-e-fitrat se ayan ho koi manzar koi dhun | Shaahi Shayari
raaz-e-fitrat se ayan ho koi manzar koi dhun

Ghazal

Raaz-e-fitrat se ayan ho koi manzar koi dhun

Nadeem Fazli

;

raaz-e-fitrat se ayan ho koi manzar koi dhun
saz-e-hasti se bhi nikle koi paikar koi dhun

main wo aawaz jo ab tak hai samaat se pare
main wo naghma abhi utri nahin jis par koi dhun

ek ghazal chheD ke rota raha mujh mein koi
ek saman bandh ke hansti rahi mujh par koi dhun

unghne lagti hai jab panw ke chhaalon ki tapak
chheD dete hain meri rah ke patthar koi dhun

aql farman sunati rahi TuTa na jumud
raqs-e-wahshat ka taqaza tha mukarrar koi dhan

waqt ki lai se ham-ahang jo hota hun nadim
bain karti hai kahin ruh ke andar koi dhun