raaz-e-fitrat nihan tha nihan hai abhi
aasman se pare aasman hai abhi
main azal se sunata raha hun magar
na-mukammal meri dastan hai abhi
ham-safar chhoD kar chal diye hain to kya
sath mere ye umr-e-rawan hai abhi
umr-bhar su-e-manzil chala hun magar
fasla jun ka tun darmiyan hai abhi
rahaton ke wo din jaane kab aaenge
zindagi dard ki tarjuman hai abhi
manzil-e-ashiqi hum kahan paenge
dil mein ehsas-e-sud-o-ziyan hai abhi
Ghazal
Raaz-e-fitrat nihan tha nihan hai abhi
Shola Haspanvi