raaz-e-alam se hai shayad ki mera raaz juda
mujh se milne mein hai us aankh ka andaz juda
koi aisi nafson se bhi ho dam-saz juda
dil ka andaz juda saz juda raaz juda
bad-guman ishq ko sad wahm-o-yaqin ke khaTke
shoKHi-e-chashm suKHan-saz hai ghammaz juda
yun hi kya kam hai teri yaad ki dil ko chheDen
zulf-e-pur-KHam lab-e-rangin nigah-e-naz juda
uqda-e-pech-o-KHam-e-zulf ka khulna malum
raaz-e-alam se hai ye silsila-e-raaz juda
tangi-o-wusat-e-kaunain mein nisbat kaisi
dar-e-tauba se dar-e-mai-kada ho baz juda
aah-o-zari se kabhi saz-e-mohabbat na chhuDa
gham ka andaz juda ishq ka andaz juda
husn ki shah talawwun udhar ek aafat-e-jaan
wahime dil ke udhar tafarqe parwaz juda
barq-e-awaz jala de ye niyastan-e-jahan
saz-e-hasti se hai saz-e-lab-e-eajaz juda
baDhte bhi jate hain sab ahl-e-jahan su-e-adam
umr-e-rafta bhi diye jati hai aawaz juda
pai-ba-pai uDte hue hosh ke andaz alag
tarz-e-barq-e-nigah-e-husn-e-junun-saz juda
nigah-e-naz diye jati hai paigham-e-hayat
maut se khel rahe hain tere jaanbaz juda
kuchh ishaare hain udhar shoKHi pinhan ke 'firaq'
hai sukut-e-nigah-e-naz suKHan-saz juda

Ghazal
Raaz-e-alam se hai shayad ki mera raaz juda
Firaq Gorakhpuri