اردو हिंदी
Raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai | Shaahi Shayari
raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai

Ghazal

Raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai

Saghar Nizami

;

raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai
ai subh ke tare tu hi bata anjam mera kya hona hai

in nau-ras aankhon walon ka kya hansna hai kya rona hai
barse hue sachche moti hain bahta hua KHalis sona hai

dil ko khoya KHud bhi khoe duniya khoi din bhi khoya
ye gum-shudagi hai to ek din ai dost tujhe bhi khona hai

tamiz-e-kamal-o-naqs uTha ye to raushan hai duniya par
main chandan hun tu kundan hai main miTTi hun tu sona hai

tu ye na samajh lillah ki hai taskin tere diwanon ko
wahshat mein hamara hans paDna dar-asl hamara rona hai

matam hai meri aawaz shikast-e-saz-e-dil-e-sad-para ka
'saghar' mera naghma bhi dipak ke suron mein rona hai