raaton ke andheron mein ye log ajab nikle
sab nam-o-nasab wale be-nam-o-nasab nikle
tamir-pasandi ne kuchh zist par uksaya
kuchh maut ke saman bhi jine ka sab nikle
ye nur ke saudagar KHud nur se aari hain
gardun pe mah-o-anjum tanwir-talab nikle
ye dasht ye sahra sab viran hain barson se
is samt bhi diwana takbir ba-lab nikle
tahzib ki bebaki aisi to na thi pahle
hum jab bhi kahin nikle ta-hadd-e-adab nikle
taskin ke liye hum ne jin se bhi guzarish ki
hum se bhi ziyaada wo taskin-talab nikle
hasti ki masafat mein apna jinhen samjha tha
jab waqt paDa 'farhat' wo mohr-ba-lab nikle
Ghazal
Raaton ke andheron mein ye log ajab nikle
Farhat Qadri