raat yaad-e-nigah-e-yar ne sone na diya
shadi-e-wada-e-dildar ne sone na diya
ho gai subh dar-e-KHana pe baiThe baiThe
fitna-e-chashm-e-fusun-kar ne sone na diya
shab wo be-kal rahe kakul mein phansa kar us ko
shor-o-fariyaad-e-dil-e-zar ne sone na diya
tha shab-e-hijr mein ek KHun ka dariya jari
ek pal dida-e-KHun-bar ne sone na diya
raat bhar KHun-e-jigar hum ne kiya hai 'arif'
fikr-e-rangini-e-ashaar ne sone na diya
is tan-e-zar pe ek bar-e-giran hai ye bhi
yar ke saya-e-diwar ne sone na diya
ab to kar dewen riha wo mujhe shayad ki unhen
meri zanjir ki jhankar ne sone na diya
Ghazal
Raat yaad-e-nigah-e-yar ne sone na diya
Zain-ul-Abideen Khan Arif