اردو हिंदी
Raat taron se jab sanwarti hai | Shaahi Shayari
raat taron se jab sanwarti hai

Ghazal

Raat taron se jab sanwarti hai

Shaukat Pardesi

;

raat taron se jab sanwarti hai
ek nai zindagi ubharti hai

mauj-e-gham se na ho koi mayus
zindagi Dub kar ubharti hai

aaj dil mein phir aarzu-e-did
waqt ka intizar karti hai

dil jale ya diya jale 'shaukat'
raat afsana kah guzarti hai