raat sunsan hai gali KHamosh
phir raha hai ek ajnabi KHamosh
baat dil ki chhupai lakh un se
aankh lekin na rah saki KHamosh
hijr ki aag mein jale chup-chap
zindagi yun guzar di KHamosh
pujta hun tujhe KHayalon mein
kar raha hun main bandagi KHamosh
sham-e-mahfil kuchh is tarah chup hai
jaise jaDe ki chandni KHamosh
hum se izhaar-e-muddaa na hua
lab hile par zaban rahi KHamosh
koi hangama chahiye 'nasir'
kaise guzregi zindagi KHamosh
Ghazal
Raat sunsan hai gali KHamosh
Nasir Zaidi