raat si nind hai mahtab utara jae
ai KHuda mujh mein zar-e-KHwab utara jae
kya zaruri hai ki naw ko bachane ke liye
har musafir tah-e-girdab utara jae
roz utarta hai samundar mein sulagta suraj
kabhi sahra mein bhi talab utara jae
sau charaghon ke jalane se kahin achchha hai
ek sitara sar-e-mehrab utara jae
pattharon mein bhi kai pech paDe hain 'shahid'
un pe bhi mausam-e-shadab utara jae
Ghazal
Raat si nind hai mahtab utara jae
Shahid Zaki