raat se jang koi khel nain
tum charaghon mein itna tel nain
aa gaya hun to khinch apni taraf
meri jaanib mujhe dhakel nain
jab main chahunga chhoD jaunga
ek sarae hai jism jail nain
bench dekhi hai KHwab mein KHali
aur paTri par us pe rail nain
jis ko dekha tha kal daraKHt ke gird
wo hara azhdaha tha bel nain
Ghazal
Raat se jang koi khel nain
Ammar Iqbal