raat qatil ki gali ho jaise
chand isa sa bani ho jaise
raat ek shab ki byahi ho dulhan
mang taron se bhari ho jaise
un hi zarron se hain lamhe mah-o-sal
umr ek ret-ghaDi ho jaise
ek tinka bhi na chhoDa ghar mein
tez aandhi si chali ho jaise
yun umanDta hai tera gham ab tak
koi sawan ki nadi ho jaise
jis ne patthar ka kiya hai mujh ko
alf-laila ki pari ho jaise
jaane kaise hain rafiqon ke makan
koi dushman ki gali ho jaise
us mein gham ke na KHushi ke aansu
aankh patthar ki bani ho jaise
is tarah KHush hun ki KHwabon mein wahi
phul barsa ke gai ho jaise
main use bhul gaya hun aise
wo mujhe bhul gai ho jaise
aaj ke daur mein ye mashq-e-suKHan
muft ki dard-sari ho jaise
Ghazal
Raat qatil ki gali ho jaise
Wajd Chughtai