raat phir KHwab mein aane ka irada kar ke
chand Duba hai abhi mahw-e-nazara kar ke
tishnagi had se guzar jaegi sahil ke qarib
faeda kya hai samundar ka taqaza kar ke
hairati hun abhi TuTa hai bharam ulfat ka
de gaya mat wo phir mujh ko bahana kar ke
karta rahta tha mazahan wo bahut si baaten
ab raqam karte rahe us ko fasana kar ke
mat chhal shah to faqat khel hai ek is ke liye
rakh diya meri mohabbat ko tamasha kar ke
chhoD jaane ko wo kahta tha pa malum na tha
yun chala jaega dam-bhar mein paraya kar ke
aaKHir 'asra' teri fitrat mein ye ujlat kyun hai
dekh le ranj abhi aur gawara kar ke
Ghazal
Raat phir KHwab mein aane ka irada kar ke
Asra Rizvi