اردو हिंदी
Raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah | Shaahi Shayari
raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah

Ghazal

Raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah

Kaleem Usmani

;

raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah
chand nikla hai tujhe DhunDne pagal ki tarah

KHushk patton ki tarah log uDe jate hain
shahr bhi ab to nazar aata hai jangal ki tarah

phir KHayalon mein tere qurb ki KHushbu jagi
phir barasne lagi aankhen meri baadal ki tarah

be-wafaon se wafa kar ke guzari hai hayat
main barasta raha viranon mein baadal ki tarah