raat parde se zara munh jo kisu ka nikla
shoala samjha tha use main pa bhabhuka nikla
mahr o mah us ki phaban dekh ke hairan rahe
jab waraq yar ki taswir-e-do-ru ka nikla
ye ada dekh ke kitnon ka hua kaam tamam
nimcha kal jo Tuk us arbada-ju ka nikla
mar gai sarw pe jab ho ke tasadduq qumri
us se us dam bhi na tauq apne gulu ka nikla
'mushafi' hum to ye samjhe the ki hoga koi zaKHm
tere dil mein to bahut kaam rafu ka nikla
Ghazal
Raat parde se zara munh jo kisu ka nikla
Mushafi Ghulam Hamdani