raat nadida balaon ke asar mein hum the
KHauf se sahme hue sog-nagar mein hum the
panw se lipTi hui chizon ki zanjiren thin
aur mujrim ki tarah apne hi ghar mein hum the
wo kisi raat idhar se bhi guzar jaega
KHwab mein rahguzar rahguzar mein hum the
ek lamhe ke jazire mein qayam aisa tha
jaise anjaane zamanon ke safar mein hum the
Dub jaane ka saliqa nahin aaya warna
dil mein girdab the lahron ki nazar mein hum the
Ghazal
Raat nadida balaon ke asar mein hum the
Saqi Faruqi