raat lambi thi sitara mera tajil mein tha
jis ko jalna nahin aaya wahi qindil mein tha
ek jahan aur pas-e-kar-e-jahan tha baqi
ek badan aur mere ishq ki takmil mein tha
phir siyahi ne sameTa mera saman aa kar
kul asasa mera ek sham ki zambil mein tha
ek larza tha sitaron ke badan par tari
main to Duba hua ek husn ki tafsil mein tha
ab to har chehra use zard dikhai dega
der tak aaina bimar ki tahwil mein tha
jo mila wo baDi ujlat mein mila tha mujh se
aur main goya hamesha se hi tatil mein tha
Ghazal
Raat lambi thi sitara mera tajil mein tha
Nomaan Shauque

