raat ko pahlu mein ek taswir raushan ho gai
KHwab to dekha nahin tabir raushan ho gai
us but-e-kafir ko jo dekha bahut nazdik se
naqsh-gar ki shoKHi-e-tahrir raushan ho gai
dasht-e-wahshat mein ghubar-e-naqa-e-laila to hai
hasrat ai pa-e-junun zanjir raushan ho gai
zaKHm-e-naumidi charaghan kar rahe hain zist mein
dagh kya raushan hue taqdir raushan ho gai
us ki aankhon mein umaD aaya sitaron ka hujum
gul-kade mein shauq ki tanwir raushan ho gai
aarzuen sab shikasta KHwab sare munhadim
mere ghar mein raunaq-e-tamir raushan ho gai
saz-e-dil-dari pe naghma-zan hui sham-e-visal
mauj-e-gul ki KHubi-e-taqrir raushan ho gai
raqs farmane lage sab ranj-o-gham soz-o-alam
sham-e-mina jal uThi tasir raushan ho gai
umr-e-zindan mein guzari par 'nadim' itna to hai
mashal-e-KHurshid se zanjir raushan ho gai
Ghazal
Raat ko pahlu mein ek taswir raushan ho gai
Kamran Nadeem