raat ki ninden to pahle hi uDa kar le gaya
rah gai thi aarzu so wo bhi aa kar le gaya
din nikalte hi wo KHwabon ke jazire kya hue
subh ka suraj meri aankhen chura kar le gaya
dur se dekho to ye dariya hai pani ki lakir
mauj mein aaya to jangal bhi baha kar le gaya
us ne to in motiyon par KHak bhi Dali nahin
aankh ki thaali mein dil aansu saja kar le gaya
ghaur se dekha to dil ki KHak tak baqi na thi
mujh ko dawa tha ki main sab kuchh bacha kar le gaya
Ghazal
Raat ki ninden to pahle hi uDa kar le gaya
Shahzad Ahmad