raat ki dhaDkan jab tak jari rahti hai
sote nahin hum zimmedari rahti hai
jab se tu ne halki halki baaten kin
yar tabiat bhaari bhaari rahti hai
panw kamar tak dhans jate hain dharti mein
hath pasare jab KHuddari rahti hai
wo manzil par aksar der se pahunche hain
jin logon ke pas sawari rahti hai
chhat se us ki dhup ke neze aate hain
jab aangan mein chhanw hamari rahti hai
ghar ke bahar DhunDhta rahta hun duniya
ghar ke andar duniya-dari rahti hai
Ghazal
Raat ki dhaDkan jab tak jari rahti hai
Rahat Indori