اردو हिंदी
Raat ki bhigi palkon par jab ashk hamare hanste hain | Shaahi Shayari
raat ki bhigi palkon par jab ashk hamare hanste hain

Ghazal

Raat ki bhigi palkon par jab ashk hamare hanste hain

Prem Warbartani

;

raat ki bhigi palkon par jab ashk hamare hanste hain
sannaTon ke sanp dilon ki tanhai ko Daste hain

kal tak mai-KHane mein jin ke nam ka sikka chalta tha
qatra qatra mai ki KHatir aaj wo log taraste hain

ai mere majruh tabassum rup-nagar ki rit na puchh
jin ke sinon mein patthar hain un par phul baraste hain

shahr-e-hawas ke saudai KHud jin ki ruhen nangi hain
mere tan ki uryani par aawaze kyun kaste hain

chhin sakega kaun saba se lams hamari sanson ka
hum phulon ki KHushbu ban kar gulzaron mein baste hain

ashkon ki qimat kya jaanen pyar ke jhuTe saudagar
in sayyal naginon se to hire moti saste hain

kaun aaega nange pairon shama jala kar sham Dhale
'prem' mohabbat ki manzil ke baDe bhayanak raste hain