اردو हिंदी
Raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the | Shaahi Shayari
raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

Ghazal

Raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

Mansoor Ahmad

;

raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the
ye alag baat ki har KHwab mein girdab bhi the

zindagi banjh si aurat thi ki jis ke dil mein
bund ki pyas bhi thi aankh mein sailab bhi the

zaKHm kyun risne lage ek tere chhu lene se
dukh samundar the magar mauja-e-payab bhi the

chand ki kirnon mein aahaT tere qadmon ki suni
aur phir chand ke Dhal jaane ko betab bhi the

tujh se jo lamha mila lamha-e-mashrut mila
wasl ki saaton mein hijr ke aadab bhi the

azhdaha paniyon ka shahr-e-nawa TuT gaya
matami aankh mein aansu mere be-ab bhi the

kitna aabaad mere sath tha sayon ka hujum
kaise tanhai ke sahra the jo shadab bhi the