raat KHwabon ne pareshan kar diya
subh aaine ne hairan kar diya
bole baiTho aur chehre par mere
ek chehra aur chaspan kar diya
mere aage khinch di kaisi lakir
ek dar-e-be-dar ka darban kar diya
aap phulon titliyon mein chhup gae
hum ko sahra ka nigahban kar diya
aaise dekha jaise dekha hi nahin
aaj hum ne us ko hairan kar diya

Ghazal
Raat KHwabon ne pareshan kar diya
Mushaf Iqbal Tausifi