raat khaDi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye
ai man tu bhi umr bata de naqsh-e-KHayal liye
lamhe ye be-rang patange kab aate hain hath
sara sara din phirta hai suraj jal liye
phul-jhaDiyan si chhuT rahi hain sham ke daman mein
kaun khaDa hai narangi sa chehra lal liye
aaj samajh mein aaya apni aankhon ka mafhum
har insan hai surat par do zaKHm-e-malal liye
ujli chandni raat si aankhen ujla dhup sa mukh
hae re wo hirni si laDki shauq-e-visal liye
ghar walon se toD ke nata kis ne paya mujh ko
kahan phiroge shair sahab dast-e-sawal liye
gulzaron mein basne wale bhakkar des bhi dekh
thal ka registan bhi hai gudDi mein lal liye
aaj talak us aurat se aata hai KHauf 'KHalil'
ghar mein ek din ghus aai thi bikhre baal liye
Ghazal
Raat khaDi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye
Khaleel Rampuri